1. Inicio
  2. A.R. Rahman
  3. Saathiya

Saathiya

A.R. Rahman

Saathiya hm hm, saathiya hm hm Maddham maddham teri geeli hansi Saathiya hm hm, saathiya hm hm Sunke humne saari pee li hansi (Oh) Hasti rahe tu hasti rahe Haya ki laali khilti rahe Zulf ke neeche gardan pe Subah-o-shaam milti rahe Hasti rahe tu hasti rahe Haya ki laali khilti rahe Zulf ke neeche gardan pe Subah-o-shaam milti rahe Saundi si hansi teri Khilti rahe milti rahe Peeli dhoop pehenke tum Dekho baag mein mat jaana Bhanwre tumko sab chhedenge Phoolon mein mat jaana Maddham maddham hans de phir se Sona sona phir se hans de Taaza gire patte ki tarah Sabz lawn par lete huve Saat rang hai bahaaron ke Ek adaa mein lapete hue Saawan bhaadon saare tumse Mausam mausam haste rehna Maddham maddham haste rehna Saathiya hm hm, saathiya hm hm Maddham maddham teri geeli hansi Saathiya hm hm, saathiya hm hm Sunke humne saari pee li hansi Kabhi neeli aasmaan pe Chalo ghoomne chale hum Koi abr mil gayaa to Zameen pe baras lein hum Teri baali hil gayi hai Kabhi shab chamak uthi hai Kabhi shaam khil gayi hai Tere baalon ki panaah mein Yeh siyaah raat guzre Teri kaali kaali aankhein Koi ujli baat utrey Teri ek hansi ke badle Meri yeh zameen le le Mera aasmaan le le Saathiya hm hm, saathiya hm hm Maddham maddham teri geeli hansi Saathiya hm hm, saathiya hm hm Sunke humne saari pee li hansi Barf giri ho vaadi mein Oon mein lipti simti hui Barf giri ho vaadi mein Aur hansi teri goonje Oon mein lipti simti hui Baat kare, dhuaan nikle Garam garam ujlaa dhuaan Naram naram ujlaa dhuaan --- Saathiya - Sonu Nigam and A.R. Rahman

Compartir


※ Letrista

SAMPOORAN SINGH GULZAR, A R RAHMAN, GULZAR

https://onlyrics.co/es/a-r-rahman/saathiya?lang=so

Enviado el 30 de junio de 2024 Por Anonymous

Comentarios

You need to be logged in to write a comment. Please login or register to continue.
A.R. Rahman
Lo mejor de
A.R. Rahman

Nombre Lanzamiento o Álbum

Saathiya

Record Label

YRF Music

Fecha de Lanzamiento

18 de octubre de 2002

Idioma

language Unknown

Spotify

Escuchar en spotify

Palabras

Palabras más usadas en esta canción

khilti mein rahe sunke saathiya dhuaan teri maddham geeli milti hansi kabhi hasti saari humne

Análisis

Análisis de la canción